Hello friends welcome to my personal blog.Mai es blog me kosis karta hu ki logo ko share market me IPO kya hota hai our kaise kam karta .friends esliye mai ey blog Hindi me likhta hu kyuki bhaut logo ko english me samjhnai me problem hoti . friend IPO kya hota hai or kaise kam karta pahle to apko IPOki full form bata dena chata hu IPO ka Matlab INITIAL PUBLIC OFFERING hota hai.IPO me koi company public se paise uthati hai our Eske badle apko company me hissedari deti hai.IPO company sidha Investor se paise uthati hai or apne company me unko share deti hai. Jaise ki abhi Kuch din pahle IRCTC ne apni share IPO me sell ki thi. esme jo log eska share kharide hongye unko company % me hissedari degyi.esme company apne share ki price decide karti hai.IPO subscribe karne ke liye 10 din tak ka samaye diya jata hai.eske bad company apni share ko allotment karte hai apne investors ke sath. lekin IPO me investor apni share direct sell nhi kar pati. Agar kisi investor ko apni share sell karna bhi ho to use wait karna parta jab tak ki company ka stock stock exchange pe list na ho jaye esme khuch din ka samaye lagta hai.stock exchange pe investor apni share sell kar sakta. agar aap IPO me share buy karte ho to aap sidha company se share kharidte ho .lekin agar aap stock exchange se kisi company se share kharid rahe ho to aap company se direct uska share nhi le paougye. Stock exchange pe sell hone wali share us company ke wo investor ki hoto hai jo IPO ke wakt share liya hoga matlab saaf hai ki stock exchange pe sell hone wali share aap investor se kahrid sakte ho Direct company se nhi le paugye. IPO me company logo se fund uthati hai eske badle me compny me unko share deti hai ye bhi aap sidha samjh sakte ho. agar ye blog achi lage ho to subscribe or share karna na bhule mai apko agye bhi aisea Jankari share karta rahunga.